Zameen jaise sarak gayi ho
Paav ke niche se
Apni hi parchayee ab toh
Na aaye pehchaan mein
Sab kuch bikhar gaya hai
Neev tak dagmaga gayi
Darr toh tha mann mein
Par ummeed ki thi acchi
Kya sab kuch jhoota tha?
Kya sab ek dhoka tha?
Aankhon par thi kya patti?
Kya samajh thi meri kacchi?
Kis cheez ka khauwf hai?
Kyu mann bechain hai?
Meri parchayee toh mere saath hai
Phir kyu tanhayee ka ehsaas hai?
Maa ka aanchal, pita ka pyaar
Dosto ki masti, chinta unki
Sab hokar kyu lagta hai khali?
Kyu lagta hai jaise ab bhi kuch hai baaki?
Pyaar nahi shaayad ek dhoka tha
Ya pyaar nahi hone ka dikhaawa tha
Ya pyaar ka bas ek ehsaas tha
Jo kuch dhundli yaadon se judah tha
Jo bhi ho sacch magar
Yeh toh tey hai ki
Saath na nibhaaye agar
Uska saath dena hai nadani
No comments:
Post a Comment